Ek Chanchal Shokh Haseena Lyrics – Abhijeet | Baaghi – A Rebel For Love

Ek chanchal shokh haseena
Mere sapnon mein aaye
Ek chanchal shokh haseena
Mere sapnon mein aaye
Mujhe ek jhalak dikhla ke woh
Mere dil ka chain churaaye
Mere dil ka chain churaaye
Ek chanchal shokh haseena
Mere sapnon mein aaye
Mujhe ek jhalak dikhla ke woh
Mere dil ka chain churaaye
Mere dil ka chain churaaye
Hothon se madira chhalke
Gaalon pe hain angaare
Phoolon ke jaisi khilti jawani
Naina nasheele hain kajraare
Hothon se madira chhalke
Gaalon pe hain angaare
Phoolon ke jaisi khilti jawani
Naina nasheele hain kajraare
Jaise ke nagin dole
Aise chale balkha ke
Madhosh kar de mujhko
Dekhe jo woh sharma ke
Kabhi khulein jo zulfein uski
Ghata gagan pe chhaye
Chanchal shokh haseena
Mere sapnon mein aaye
Mujhe ek jhalak dikhla ke woh
Mere dil ka chain churaaye
Mere dil ka chain churaaye
Jheel mein khilta ek kanwal
Woh hai kisi shayar ki ghazal
Baahein utha ke le angdaai
Dil mein macha de koi halchal
Jheel mein khilta ek kanwal
Woh hai kisi shayar ki ghazal
Baahein utha ke le angdaai
Dil mein macha de koi halchal
Pariyon ki woh shehzadi
Chehra hai bhola bhaala
Dekha hai jabse usko
Main ho gaya matwala
Yehi duayein maangun har pal
Woh mukjko mil jaaye
Chanchal shokh haseena
Mere sapnon mein aaye
Mujhe ek jhalak dikhla ke woh
Mere dil ka chain churaaye
Mere dil ka chain churaaye

Song Credits
Song: Ek Chanchal Shokh Haseena
Singer(s): Abhijeet
Music: Anand-Milind
Lyrics: Sameer
Label: Ishtar Music Pvt. Ltd.
Album: Baaghi – A Rebel For Love
Released: 1990
Language: Hindi

Watch Official Video

Thanks for visiting gabrupunjabi.com! If you found any mistakes in the lyrics, please get in touch with us through our Contact Us page. We will correct the mistakes in these lyrics.

Explore the complete lyrics of Ek Chanchal Shokh Haseena Lyrics – Abhijeet | Baaghi – A Rebel For Love by Abhijeet. Read the full Punjabi song lyrics and dive into the meaning behind this hit track. Perfect for fans of Punjabi music and Abhijeet soulful songs!

Related Posts

Sheher Ki Ladki Lyrics – Badshah, Tulsi Kumar, Abhijeet, Chandra Dixit | Khandaani Shafakhana

AANKH MILAKE POOCHE, HI HOW ARE YOU
HI HOW ARE YOU, HI HOW ARE YOU
HAATH MILAKE POOCHE, HOW DO YOU DO
HOW DO YOU DO, HOW DO YOU DO
AANKH MILAKE POOCHE, HI HOW…

Chandni Raat Hai Lyrics – Abhijeet & Kavita Krishnamurthy | Baaghi – A Rebel For Love

Chandni raat hai, tu mere sath hai
Chandni raat hai, tu mere sath hai
Kuchh hawa sard hai, dil mein bhi dard hai
Kuchh hawa sard hai, dil mein bhi dard…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *