Mere Liye Tum Suffi Ho Lyrics – Akhil Sachdeva | Kaisi Yeh Yaariaan Season 4 (A JioCinema Original Series) (Original Motion Picture Soundtrack)

Tujh mein main simat kar
Thamoon aise falak par
Jahan taare naa tootein
Koi dorr naa chhoote
Jahan halki madhoshi ho..

Oh mere liye tum sufi ho…
Oh mere liye tum sufi ho…….

Tu hai aadat meri
Tu raahat meri
Tu barkat meri..
Mein hoon zameen…

Hai baarish si tu..
Dono milein…
Toh milta sukoon..

Thodi oas ki boond tu
Main kaanch sa toota hoon..
Mujhse jab bhi tu guzre
To, main thoda sa judta hoon

Main kinaara.. tu paani
Mein lab.. tu zubaani
Mere rukne ki rawaani tum ho..

Oh mere liye tum sufi ho
Oh mere liye tum sufi ho..

Meri jitni khumaari
Tujhse hi hai saari
Mera ghar mera dil
Aur sukoon.. aur junoon..
Mere shor ki khaamoshi hoo…

Oh mere liye tum sufi ho
Oh mere liye tum sufi ho

Tu ibaadat meri
Tu chahat meri tu rehmat meri
Kori aankhon..ka sapna hai tu

Tujhse miloon toh khwaahish bunoo
Tere chhoone se jeeta hoon
Tere hone se hota hoon
Naa dikhe jo mujhe tu kahin,
Toh main chupke se rota hoon..

Tu hai toh main hoon
Main gham toh tu aansu
Main khushi hoon tum meri hassi ho

Oh mere liye tum suffi ho..
Oh mere liye tum suffi ho…….

Mere gusse mein gham mein
Zyada mein aur kam mein
Mere dil ki dhadkan mein
Mere har paagalpan mein
Mere shaamon ki sargoshi ho

Oh mere liye tum suffi ho..
Oh mere liye tum suffi ho

Tu hai shiddat meri
Inaayat meri
Muhabbat meri..
Raat saa main
Seher si hai tu

Tujhse miloon
Toh subah banoon..
Mere zikr, zubaan pe tum
Har fikr, dua mein tum

Mere jashn ki mehfil tum
Har pal ki ho, manzil tum..
Main rooh, tu roohaani
Main suffi tu azaani
Mere mushkil ki asaani
Mere hone ki nishaani
Mere kaagaz ki kahaani tum ho

Ho mere liye tum suffi ho…
Ho mere liye tum suffi ho
Mere liye tum suffi ho

Song Credits
Song: Mere Liye Tum Suffi Ho
Singer(s): Akhil Sachdeva
Music: Akhil Sachdeva
Label: Star India Pvt Ltd
Album: Kaisi Yeh Yaariaan Season 4 (A JioCinema Original Series) (Original Motion Picture Soundtrack)
Released: 2024
Language: Hindi

Watch Official Video

Thanks for visiting gabrupunjabi.com! If you found any mistakes in the lyrics, please get in touch with us through our Contact Us page. We will correct the mistakes in these lyrics.

Explore the complete lyrics of Mere Liye Tum Suffi Ho Lyrics – Akhil Sachdeva | Kaisi Yeh Yaariaan Season 4 (A JioCinema Original Series) (Original Motion Picture Soundtrack) by Akhil Sachdeva. Read the full Punjabi song lyrics and dive into the meaning behind this hit track. Perfect for fans of Punjabi music and Akhil Sachdeva soulful songs!

Related Posts

O Saajna Lyrics – Akhil Sachdeva | Broken But Beautiful Season 2

Na Naa Na..
O Ho Ooo O…
Na Naa Na..

O Saajna
Tere Ishq Ch Beh Ke
Duniya Di Khair Main
Bhool Hi Gaya

Ishq Sataye Ishq Rulaye
Ishq Ch Aake Main Taan
Rul Hi…

Main Teri Hi Rahoon Lyrics – Akhil Sachdeva & Shirley Setia | Chhatriwali

Ik tu hi hai jagah meri
Meri dil me jo basi
Tujhse hi to mile mujhe
Meri jine ke khushi
Kyun lagti hai badi mujhe
Har pal teri kami
Ab kehti re vo bate jo
Tere…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *