Chaand Taare Lyrics – Abhijeet | Yes Boss (Original Motion Picture Soundtrack)

Jo bhi chaahun woh main paaun
Zindagi mein jeet jaaun

Chaand taare tod laun
Saari duniya par main chhaaun
Bas itna sa khwaab hai
Bas itna sa khwaab hai

Chaand taare tod laun
Saari duniya par main chhaaun
Bas itna sa khwaab hai
Bas itna sa khwaab hai

Yaar tu bhi sun zara aarzu meri hai kya
Main kya ban jaana chahta hoon
Main kahan kharab hoon
Main to lajawab hoon
Main yeh manwana chahta hoon

Maan jaa ae khuda itni si hai dua
Main ban jaaun sabse bada
Main ban jaaun sabse bada

Mere peechhe mere aage
Hath jode duniya bhaage
Bas itna sa khwaab hai
Bas itna sa khwaab hai

Shaan se rahun sada mujhpe log hon fida
Haseenayein bhi dil hon khoti
Dil ka yeh kanwal khile sone ka mahal mile
Barasne lagein heere moti

Hey maan jaa ae khuda itni si hai dua
Main zyada nahi maangta
Main zyada nahi maangta

Saari daulat, saari taakat
Saari duniya par hukumat
Bas itna sa khwaab hai
Bas itna sa khwaab hai
Bas itna sa khwaab hai

Song Credits
Song: Chaand Taare
Singer(s): Abhijeet
Music: Jatin-Lalit
Lyrics: Javed Akhtar
Label: Ishtar Music Pvt. Ltd.
Album: Yes Boss (Original Motion Picture Soundtrack)
Released: 1999
Language: Hindi

Watch Official Video

Thanks for visiting gabrupunjabi.com! If you found any mistakes in the lyrics, please get in touch with us through our Contact Us page. We will correct the mistakes in these lyrics.

Explore the complete lyrics of Chaand Taare Lyrics – Abhijeet | Yes Boss (Original Motion Picture Soundtrack) by Abhijeet. Read the full Punjabi song lyrics and dive into the meaning behind this hit track. Perfect for fans of Punjabi music and Abhijeet soulful songs!

Related Posts

Sheher Ki Ladki Lyrics – Badshah, Tulsi Kumar, Abhijeet, Chandra Dixit | Khandaani Shafakhana

AANKH MILAKE POOCHE, HI HOW ARE YOU
HI HOW ARE YOU, HI HOW ARE YOU
HAATH MILAKE POOCHE, HOW DO YOU DO
HOW DO YOU DO, HOW DO YOU DO
AANKH MILAKE POOCHE, HI HOW…

Chandni Raat Hai Lyrics – Abhijeet & Kavita Krishnamurthy | Baaghi – A Rebel For Love

Chandni raat hai, tu mere sath hai
Chandni raat hai, tu mere sath hai
Kuchh hawa sard hai, dil mein bhi dard hai
Kuchh hawa sard hai, dil mein bhi dard…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *