Gehraiyaan Lyrics – Aditya Narayan | Gehraiyaan

Dil ke khudaaon
Dekho humein
Karne do humko
Ishqbaaziyaan

Dekhenge hum bhi
Chhoo kar ise
Ye ishq waali
Gehraiyaan

Marne ka ye paagalpan
Jeene mein kahaan
Karne do mehsoos
Ye tabaahiyaan

Likh ke tum ye rakh lo
Aaj se ishq mein
Apni hogi khoob
Wah wahiyaan
Wah wahiyaan

Nau sau nabbe sadiyon se
Sau sau sadiyon tak
Jab tak tab hai rehni hai
Apni yaariyaan

Meri jaan ke jeene se
Teri jaan talak
Ik dooje ki dono pe
Daavedaariyaan

Subahon waale sooraj se
Raaton ke chaand tak
Hum hi hain maujood
Sabke darmiyaan

Rab ne naap ke dekha hai
Ye jo ishq hai
Hum aur tum hain iski
Gehraiyaan
Gehraiyaan
Gehraiyaan

Song Credits
Song: Gehraiyaan
Singer(s): Aditya Narayan
Music: Aditya Narayan, Ambresh Shroff
Lyrics: Manoj Yadav
Label: Namaste Records
Album: Gehraiyaan
Released: 2025
Language: Hindi

Watch Official Video

Thanks for visiting gabrupunjabi.com! If you found any mistakes in the lyrics, please get in touch with us through our Contact Us page. We will correct the mistakes in these lyrics.

Explore the complete lyrics of Gehraiyaan Lyrics – Aditya Narayan | Gehraiyaan by Aditya Narayan. Read the full Punjabi song lyrics and dive into the meaning behind this hit track. Perfect for fans of Punjabi music and Aditya Narayan soulful songs!

Related Posts

Bana Le Tera Lyrics – Aditya Narayan | Bana Le Tera

हम-नवा दिल दिल्लगी में
जब चला इश्क़ छूने
धड़कनों की सीपियों में
रख दिए ला के तूने

तेरी सभी आदतें
लिखें दिल से
दिल पे मेरे मोहब्बतें

बना ले तेरा साया…

Mizaaj Lyrics – Aditya Narayan | Mizaaj

Banjaye dil ki baat
Rakh do na, do na haathoon main haath
Saach kahoon to tu meri aakhon ki bhookh hai pyaas hai, talaash hai

Inn dhadhkano ki tu paak libaas…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *