Dil Kehta Hai Lyrics – Anu Malik, Alka Yagnik, Kumar Sanu | Akele Hum Akele Tum

Dil kehta hai chal unse mil
Uthte hain kadam ruk jaate hain
Dil humko kabhi samjhaata hai
Hum dil ko kabhi samjhaate hain

Dil kehta hai chal unse mil
Uthte hain kadam ruk jaate hain
Dil humko kabhi samjhaata hai
Hum dil ko kabhi samjhaate hain

Hum jabse hain juda
Aye mere humnasheen
Yun dekho to mere
Daaman mein kya nahi
Daulat ka chaand hai
Shohrat ki chaandini
Magar tumhein kho ke
Lage hai mujhe aisa
Ke tum nahi to kuchh bhi nahi
Tum kya jaano ab hum kitna
Dil hi dil mein pachhtaate hain
Dil humko kabhi samjhaata hai
Hum dil ko kabhi samjhaate hain

Woh din the kya haseen
Dono the sath mein
Aur baahein aapki
Thi mere haath mein
Tum hi tum the sanam
Mere din raat mein
Par itni bulandi pe tum ho meri jaan
Aaye na daaman ab haath mein
Paana tumko mumkin hi nahi
Sochein bhi to hum ghabraate hain
Dil humko kabhi samjhaata hai
Hum dil ko kabhi samjhaate hain
Dil kehta hai chal unse mil
Uthte hain kadam ruk jaate hain
Uthte hain kadam ruk jaate hain
Uthte hain kadam ruk jaate hain

Song Credits
Song: Dil Kehta Hai
Singer(s): Anu Malik, Alka Yagnik, Kumar Sanu
Music: Anu Malik
Lyrics: Majrooh Sultanpuri
Label: Ishtar Music Pvt. Ltd.
Album: Akele Hum Akele Tum
Released: 1995
Language: Hindi

Thanks for visiting gabrupunjabi.com! If you found any mistakes in the lyrics, please get in touch with us through our Contact Us page. We will correct the mistakes in these lyrics.

Explore the complete lyrics of Dil Kehta Hai Lyrics – Anu Malik, Alka Yagnik, Kumar Sanu | Akele Hum Akele Tum by Alka Yagnik. Read the full Punjabi song lyrics and dive into the meaning behind this hit track. Perfect for fans of Punjabi music and Alka Yagnik soulful songs!

Related Posts

Aati Hai To Chal Lyrics – Babul Supriyo & Alka Yagnik | Saat Rang Ke Sapne

Aati Hai To Chal Tu Mere Saath Mein
De De Saathiyaa Haatho Ko Haath Mein
Rahanaa Hai Har Pal Ab Tere Saath Mein
Le Le Saathiyaa Haatho Ko Haath Mein
Mor Ke…

Main Ishq Uska Lyrics – Babul Supriyo, Alka Yagnik, Himesh Reshammiya | Vaada

La La La……La La La …
Main Ishq Uska Wo Aashiqui Hai Meri
Main Ishq Uska Wo Aashiqui Hai Meri
Woh Ladki Nahi Zindagi Hai Meri
Woh Ladki Nahi Zindagi Hai…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *