Namo Namo Lyrics – Amit Trivedi | Kedarnath

Jai ho jai ho Shankara
Bholenath Shankara
Aadi dev Shankara
Hey Shivay Shankara

Tere jaap ke bina
Bholenath Shankara
Chale ye saans kis tarah
Hey Shivay Shankara

Mera karm tu hi jaane
Kya bura hai kya bhala
Kya bura hai kya bhala
Kya bura hai kya bhala

Tere raaste pe main toh
Aankh moond ke chalaa
Aankh moond ke chalaa
Aankh moond ke chalaa

Tere naam ki jot ne
Saara har liya tamas mera

Namo namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Jai Triloknath Shambhu
Hey Shivay Shankara

Namo namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Rudradev hey Maheshvarah

Srishti ke janam se bhi
Pehle tera vaas tha
Ye jag rahe ya naa rahe
Rahegi teri aastha

Kya samay kya pralay
Dono mein teri mahaanta
Mahaanta mahaanta

Seepiyon ki ontt main
Bholenath Shankara
Motiyaan ho jis tarah
Hey Shivay Shankara

Mere mann mein shankara
Bholenath Shankara
Tu basa hai uss tarah
Hey Shivay Shankara

Mujhe bharam tha jo hai
Mera tha nahin kabhi mera
Tha nahin kabhi mera
Tha nahin kabhi mera

Arth kya nirarth kya
Jo bhi hai sabhi tera
Jo bhi hai sabhi tera
Jo bhi hai sabhi tera

Tere saamne hai jhuka
Mere sar pe haath rakh tera

Namo namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Jai Triloknath Shambhu
Hey Shivay Shankara

Namo namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Rudradev hey Maheshvara

Chandrama lalaat pe
Bhasm hai bhujaaon mein
Vastra baagh chhaal ka
Hai khadau paanv mein

Pyaas kya ho tujhe
Ganga hai teri jataaon mein
Jataaon mein
Jataaon mein

Doosron ke waaste
Bholenath Shankara
Tu sadaiv hai jiya
Hey Shivay Shankara

Maanga kuch kabhi nahi
Bholenath shankara
Tune sirf hai diya
Hey Shivay Shankara

Samudra manthan ka
Tha samay jo aa pada
Tha samay jo aa pada
Tha samay jo aa pada

Dwand dono lok me
Vish-amrit pe tha chhida
Vish-amrit pe tha chhida
Vish-amrit pe tha chhida

Amrit sabhi main baant ke
Pyala vish ka tune khud piya

Namo namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Jai Triloknath Shambhu
Hey Shivay Shankara

Namo namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Rudradev hey Maheshvara

Namo namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Jai Triloknath Shambhu
Hey Shivay Shankara

Namo namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Rudradev hey Maheshvarah
Rudradev hey Maheshvarah
Rudradev hey Maheshvarah

Song Credits
Song: Namo Namo
Singer(s): Amit Trivedi
Music: Amit Trivedi
Lyrics: Amitabh Bhattacharya
Label: Zee Music Co.
Album: Kedarnath
Released: 2019
Language: Hindi

Watch Official Video

Thanks for visiting gabrupunjabi.com! If you found any mistakes in the lyrics, please get in touch with us through our Contact Us page. We will correct the mistakes in these lyrics.

Explore the complete lyrics of Namo Namo Lyrics – Amit Trivedi | Kedarnath by Amit Trivedi. Read the full Punjabi song lyrics and dive into the meaning behind this hit track. Perfect for fans of Punjabi music and Amit Trivedi soulful songs!

Related Posts

Ek Main Aur Ekk Tu (Remix By Dj Shiva) Lyrics – Amit Trivedi, Benny Dayal, Anushka Manchanda | Ek Main Aur Ekk Tu

Talli hai ye zamin talli hai aasma
Sab talli hai yaha
Ya fir sara jaha waise ka waisa hai
Hum talli hai yaha
Mujhse bahe na chuda
Kahi kho na jaye
Jo bhi hoga…

Milaa Yun Lyrics – Amit Trivedi, Yashita Sharma, Abhay Jodhpurkar | Haseen Dillruba

MILAA YUN

-MUKHDA-
-Male-
Jo beeta hai, woh kal hai
Yeh jo naya pal hai
Aa thaamle isse jara
Dheere dheere
Sang tere
Din yeh sambhalane laga

-Female-
Jo…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *