MERI BHAVNA
Arohi Anil Agarkar, Rageshree Anil Agarkar
Jisne raag dvesh kamadik jeete sab jag jaan liya
sab jeevon ko moksha marg ka nisprah ho updesh diya
buddh veer jin hari har brahma ya usko swaadhin kaho
bhakti bhaav se prerit ho yeh chitt usi meinn leen raho
vishayon ki aasha nahi jinke samyabhaav dhan rakhte hain
nij parke hit saadhan meinn jo nishdin tatpar rehte hain
swarth tyaag ki kathin tapsya bina khed jo karte hain
aise gyaani saadhu jagat ke dukh ko harte hain
rahe sadaa satsang unhi ka dhyaan unhi ka nitya rahe
unhi jaisi charya mein yeh chitt sada anurakt rahe
nahi satau kisi jeev ko juth kabhi nahi kaha karu
par dhan vanita par na lubhau santoshamrit piya karu
ahankaar ka bhaav na rakhu nahi kisi par krodh karu
dekh dusro ki badhti ko kabhi na irsha bhaav dharu
rahe bhavna aisi meri saral satya vyavhaar karu
bane jaha tak is jeevan meinn auro ka upkar karu
maitri bhaav jagat mein mera sab jeevon se nitya rahe
deen dukhi jeevon par mere ur se karuna srot bahe
durjan krur kumarg rato pe chhob nahi mujhko aave
saamyabhaav rakhu main unpar aisi parinati ho jaave
guni jano ko dekh hriday mein mere prem umad jaave
bane jaha tak unki seva karke yeh man sukh paave
hou nahi krataghna labhi main droh na mere ur aave
gun grahan ka bhaav rahe nit drishti na doshon par jaave
koi bura kaho ya achcha lakhsmi aave ya jaave
laakhon varsho tak jiyu ya mrityu aaj he aa jaave
athva koi kaisa he bhay ya laalach dene aave
to bhi nyaay maarg se mera kabhi na pad digne paave
hokar sukh mi magna na phule dukh mein kabhi na ghabraave
parvat nadi shamshaan bhayanak atvi se nahi bhay khaave
rahe adol akamp nirantar ye man drantar ho jaaye
isht viyog anisht yog mein sahanshilta dikhlaave
sukhi rahein sab jeev jagat ke koi kabhi na ghabraave
bair paap abhimaan chhod sab nitya naye mangal gaave
ghar ghar charcha rahe dharma ki dushkrat dushkar ho jaave
gyan charit unnat kar apna manuj janam phal sab paave
iiti bhiiti vyape nahi jag mein vrishti samay par hua kare
dharmnisht hokar raja bhi nyay praja ka kiya kare
rog mari durbhiksha na faile praja shanti se jiya kare
param ahimsa dharma jagat mein phail sarv hit kiya kare
phaile prem paraspar jag mein moh duur he raha kare
apriya katuk kathor shabd nahi koi mukh se kaha kare
bankar sab yugvir hriday se deshonnati rat raha kare
vastu swarup vichar khushi se sab sankat saha kare
Song Credits
Song: Meri Bhavna
Singer(s): Arohi Anil Agarkar & Rageshree Anil Agarkar
Music: Arohi Anil Agarkar
Label: Rajshri Soul
Album: Latest Jain Bhakti Tracks
Released: 2022
Language: Hindi
Watch Official Video
Thanks for visiting gabrupunjabi.com! If you found any mistakes in the lyrics, please get in touch with us through our Contact Us page. We will correct the mistakes in these lyrics.
Explore the complete lyrics of Meri Bhavna Lyrics – Arohi Anil Agarkar & Rageshree Anil Agarkar | Latest Jain Bhakti Tracks by Arohi Anil Agarkar. Read the full Punjabi song lyrics and dive into the meaning behind this hit track. Perfect for fans of Punjabi music and Arohi Anil Agarkar soulful songs!

