Aankh Hai Bhari Bhari (Male Version) Lyrics – Kumar Sanu | Tum Se Achcha Kaun Hai

Aankh hai bhari bhari aur tum
Muskurane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum
Muskurane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum
Dil lagaane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum
Muskurane ki baat karte ho

Mere halaat aise hain
Ke main kuchh kar nahin sakta
Mere halaat aise hain
Ke main kuchh kar nahin sakta
Tadapta hai yeh dil lekin
Yeh aahein bhar nahin sakta
Zakhm hai hara hara aur tum
Chot khaane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum
Dil lagaane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum
Muskurane ki baat karte ho

Zamaane mein bhala kaise
Mohabbat log karte hain
Zamaane mein bhala kaise
Mohabbat log karte hain
Wafa ke naam ki ab to
Shikayat log karte hain
Aag hai bujhi bujhi aur tum
Lau jalaane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum
Dil lagaane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum
Muskurane ki baat karte ho

Kabhi jo khwaab dekha to
Mili parchhaiyan mujhko
Kabhi jo khwaab dekha to
Mili parchhaiyan mujhko
Mujhe mehfil ki khwaahish thi
Mili tanhaiyan mujhko
Har taraf dhuan dhuan aur tum
Aashiyane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum
Dil lagaane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum
Muskurane ki baat karte ho

Song Credits
Song: Aankh Hai Bhari Bhari (Male Version)
Singer(s): Kumar Sanu
Music: Nadeem-Shravan
Lyrics: Sameer
Label: Ishtar Music Pvt. Ltd.
Album: Tum Se Achcha Kaun Hai
Released: 2002
Language: Hindi

Thanks for visiting gabrupunjabi.com! If you found any mistakes in the lyrics, please get in touch with us through our Contact Us page. We will correct the mistakes in these lyrics.

Explore the complete lyrics of Aankh Hai Bhari Bhari (Male Version) Lyrics – Kumar Sanu | Tum Se Achcha Kaun Hai by Kumar Sanu. Read the full Punjabi song lyrics and dive into the meaning behind this hit track. Perfect for fans of Punjabi music and Kumar Sanu soulful songs!

Related Posts

Mat Poochh Mere Mehboob Lyrics – Anand-Milind, Kumar Sanu, Sadhana Sargam, Mukul Agarwal | Hasti

मत पूछ मेरे महबूब सनम, तुझे कितना प्यार मैं करता हूँ
मत पूछ मेरे महबूब सनम, तुझे कितना प्यार मैं करता हूँ
तेरे प्यार में जीता-मरता हूँ, तेरे प्यार में…

Jab Se Hum Tere Lyrics – Kumar Sanu & Alka Yagnik | Krantiveer

Jab se hum tere aashiq bane
Aashiqi ka maza aa gaya
Jab se hum tere aashiq bane
Aashiqi ka maza aa gaya
Pyar ko bandagi jab se mana
Pyar ko bandagi jab se…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *