Aaj Se Teri Lyrics – Arijit Singh | Padman

Aaj se teri sari galiyan meri ho gayin
Aaj se mera ghar tera ho gaya

Aaj se teri sari galiyan meri ho gayin
Aaj se mera ghar tera ho gaya
Aaj se meri sari khushiyan teri ho gayin
Aaj se tera ghamm mera ho gaya

Ho tere kandhe ka jo til hai
Ho tere seene mein jo dil hai
Ho teri bijli ka jo bill hai
Aaj se mera ho gaya

Ho mere khwaabon ka ambar
Ho meri khushiyon ka samundar
Ho mere pincode ka number
Aaj se tera ho gaya

Tere mathe
Tere mathe ke kumkum ko
Main tilak laga ke ghumuga
Teri bali ki chun chun ko
Main dil se laga ke jhumunga

Meri chhoti si bhoolon
Ko tu nadiya mein baha dena
Tere jude ke phoolon ko
Main apni shirt mein pehnoonga
Bas mere liye tu maalpuye
Kabhi kabhi bana dena

Aaj se meri saari ratiyan teri ho gayin
Aaj se tera din mera ho gaya

Ho tere kandhe ka jo til hai
Ho tere seene mein jo dil hai
Ho teri bijli ka jo bill hai
Aaj se mera ho gaya

Ho mere khwaabon ka ambar
Ho meri khushiyon ka samundar
Ho mere pincode ka number
Aaj se tera ho gaya

Tu mange sardi mein amiya
Jo mange garmi mein moongfaliya
Tu barish mein agar keh de
Ja mere liye tu dhoop khila

Toh main sooraj
Toh main sooraj ko jhatak doonga
Toh main saawan ko gatak loonga
Toh sare taron sang chanda
Main teri godd mein rakh doonga

Bas mere liye tu khilke kabhi
Muskura dena

Aaj se meri saari sadiyan teri ho gayin
Aaj se tera pal mera ho gaya

Ho tere kandhe ka jo til hai
Ho tere seene mein jo dil hai
Ho teri bijli ka jo bill hai
Aaj se mera ho gaya

Ho mere khwaabon ka ambar
Ho meri khushiyon ka samundar
Ho mere pincode ka number
Aaj se tera ho gaya

Song Credits
Song: Aaj Se Teri
Singer(s): Arijit Singh
Music: Amit Trivedi
Lyrics: Kausar Munir
Label: Zee Music Co.
Album: Padman
Released: 2017
Language: Hindi

Watch Official Video

Thanks for visiting gabrupunjabi.com! If you found any mistakes in the lyrics, please get in touch with us through our Contact Us page. We will correct the mistakes in these lyrics.

Explore the complete lyrics of Aaj Se Teri Lyrics – Arijit Singh | Padman by Arijit Singh. Read the full Punjabi song lyrics and dive into the meaning behind this hit track. Perfect for fans of Punjabi music and Arijit Singh soulful songs!

Related Posts

Mohabbat Barsa De Lyrics – Arko, Arjun, Arijit Singh, Samira Koppikar | Creature 3D

Girl you’re my passion you got me so addicted – 2
Even if we get caught in the rain
I know our love wont wash away you got me so addicted
No matter if we get…

Kabhi Jo Baadal Barse Lyrics – Shaarib Sabri, Toshi, Arijit Singh | Jackpot

Kabhi Jo Badal Barse
Main Dekhoon Tujhe Aankhein Bharke..
Tu Lage Mujhe Pahli Baarish Ki Duaa..

Tere Pahloo Mein Rah Loon..
Main Khud Ko Paagal Kah Loon..
Tu…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *