Jaan Hai Meri – Lyrics
Mukhda
Aaye the is tarah se tum
Jaise koi ho khwaab naya
Bas yaadein reh gayi dekho
Hum mein tum mein jo tha na raha
Poochta hoon main khudse
Door kyun raha tujhse
Jaate jaate sunle tu zara
Labon pe naam hai tera
Haan Dil mein yaad hai teri
Tu mera na hua to kya
Tu phir bhi jaan hai meri
Antra
Tujhko apna kabhi
Kehne se pehle socha nahi
Khwaab mein bhi tera dil
Tod paaya nahi
Maine ye zindagi
Tere hi naam likhdi meri
Kismaton se tujhe parr
Jod paaya nahi
Poochta hoon main khudse
Aur kya kahoon tumse
Jo tujhe bana de bas Mera
Labon pe naam hai tera
Haan Dil mein yaad hai teri
Tu mera na hua to kya
Tu phir bhi jaan hai meri
Outro
Jis din ye tujhe bhool gaya
Us din tham jayega
Ye dil kuch na kar payega
Na ik pal bhi jee payega
Meri tarah tujhko jab ik din
Ho hi jayega
Ishq tab samajh mein aayega
Tu khud ko rok na paayega
Mukhda 2
Aaoge ek din chalke
Meri raahon pe tum dekhna
Dhadkanon ko saanson ko
In akeli raaton ko
Intezaar kabse hai tera
Labon pe naam hai tera
Haan Dil mein yaad hai teri
Tu mera na hua to kya
Tu phir bhi jaan hai meri
Song Credits
Song: Jaan Hai Meri
Singer(s): Armaan Malik
Music: Amaal Mallik
Lyrics: Mr. Rashmi Virag
Label: T-Series
Album: Radhe Shyam
Released: 2022
Language: Hindi
Thanks for visiting gabrupunjabi.com! If you found any mistakes in the lyrics, please get in touch with us through our Contact Us page. We will correct the mistakes in these lyrics.
Explore the complete lyrics of Jaan Hai Meri Lyrics – Armaan Malik | Radhe Shyam by Armaan Malik. Read the full Punjabi song lyrics and dive into the meaning behind this hit track. Perfect for fans of Punjabi music and Armaan Malik soulful songs!


