Raabta (Night In A Motel) Lyrics – Pritam, Arijit Singh, Aditi Singh Sharma | Agent Vinod

Phailee thi syaah raatein, aaya to subah leke
Khamakha si zindagi me jeene ki wajah leke
Khoya tha samandaron mein tanha safina mera
Sahilon pe aaya hai tu jaane kis tarah leke
Kuch to hai tujh se raabta
Kuch to hai tujh se raabta
Kaise hum jaane humein kya pata
Kuch to hai tujh se raabta
Ab kya hai kehena, humko hai rehena
Jannatein bhula ke teri baahon mein panaah leke
Phailee thi syaah raatein, aaya to subah leke
Khamakha si zindagi me jeene ki wajah leke
O meherbani jaate jaate mujhpe kar gaya
Guzarata sa lamha ek daaman bhar gaya
Tera nazaara mila, roshan sitaara mila
Taqdeer ka jaise koyi ishaara mila
Roothi huyi khaahishon mein thodi si sulaah leke
Aaya tu khaamoshiyon mein baaton ki jiraah leke
Khoya tha samandaron mein tanha safina mera
Sahilon pe aaya hai tu jaane kis tarah leke
Kuch to hai tujh se raabta
Kuch to hai tujh se raabta
Kaise hum jaane humein kya pata
Kuch to hai tujh se raabta
Ab kya hai kehena, humko hai rehena
Jannatein bhula ke teri baahon mein panaah leke
Phailee thi syaah raatein, aaya to subah leke
Khamakha si zindagi me jeene ki wajah leke

Song Credits
Song: Raabta (Night In A Motel)
Singer(s): Pritam, Arijit Singh, Aditi Singh Sharma
Music: Pritam
Lyrics: Amitabh Bhattacharya
Label: T-Series
Album: Agent Vinod
Released: 2012
Language: Hindi

Watch Official Video

Thanks for visiting gabrupunjabi.com! If you found any mistakes in the lyrics, please get in touch with us through our Contact Us page. We will correct the mistakes in these lyrics.

Explore the complete lyrics of Raabta (Night In A Motel) Lyrics – Pritam, Arijit Singh, Aditi Singh Sharma | Agent Vinod by Aditi Singh Sharma. Read the full Punjabi song lyrics and dive into the meaning behind this hit track. Perfect for fans of Punjabi music and Aditi Singh Sharma soulful songs!

Related Posts

Beshuba Lyrics – Pritam, Kunal Ganjawala, Antara Mitra | Dil Toh Baccha Hai Ji

Tu Mera Jahan Bhi, Tu Mera Khuda Bhi
Tu Hi Hai Yahan Bhi, Aur Hai Wahan Bhi
Tu, Hai Saare Manzar Ka
Tu Meri Zameen Hai, Tu Hi Aasman Bhi
Rab Na Adaa Ki Hai Woh…

Mohabbat Barsa De Lyrics – Arko, Arjun, Arijit Singh, Samira Koppikar | Creature 3D

Girl you’re my passion you got me so addicted – 2
Even if we get caught in the rain
I know our love wont wash away you got me so addicted
No matter if we get…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *